(How to create adsense account without website), (How to create an AdSense account for Blogger), (How to create adsense account without website 2018), (how to create adsense business account), (How to create an AdSense account with a blog), (how to earn adsense)
Namaskar Dosto is site par aapka swagat hai, aaj ham ye post Adsense ke bare me likh rahe rahe hai, Jo ek blogger ke liye bahut hi important post hai, is post me ham janenge ki Adsense kya hai, ispar account banana kyo jaruri hai, aur is par account kaise banate hai, aaj ham is post me adsense ke bare me puri vistar se janenge. kyoki mere kuch blogger bhai kahte hai ki Adsense ke bare me jitna janege utna kam hai, isliye mera bhi kahna hai ham blogger ke Adsense par jyada focus hona chahiye, kyoki aaj har blogger chahta hai ki uske blog par adsense ki ad lagi ho, aur wo adsense se income kar paye. internet par bahut se Ad network company ya hai lekin sabse jyada mang Adsense ki hi hai, aaiye aage badhte hai kya hai ye Adsense?
Kya hai ye Adsense?
Google Adsense Google ek Ad service hai jo cost-per-click advertising network hai jo ki publishers use karke us se ache paise kama sakte hai. Agar hamare blog par acha traffic aaraha hai toh hum usko adsense ke account ke liye apply kar sakte hai. Jab hum apply karte hai tab Google Adsense hume ads ke codes deta hai jo hume hamare website par dalne hote hai. Uske bad Adsense ki team humari site ko check karti hai aur agar humari site unko achi lagi toh wo humari site ko approval de dete hai.
Approve hone ke bad humare site par ads dekhna shuru ho jate hai. Jab koi visiter us ads par click karta hai toh uske paise Adsense ke account me credit hote hai, aur wo paise hame monthly hamare bank account ya paypal me milte hai.
Adsense account apply karne se pahle Aise tayar kare blog ko
Dosto Adsense ek bahut hi important subject hai, blog ke liye. isi liye apply karne se pahle kuch jaruri kamiya puri karna bahut jaruri hota hai blog me, agar ye kamiya aapke blog me hai to adsense se kabhi bhi approval nahi mil payega. Adsense ki bahut terms and conditions hote hai jo hame follow karne hote hai.
Agar ham adsense ki policy ko follow nahi karte hai to adsense se approval milna imposible hai, isiliye kuch jaruri kamiyo purti kare uske bad hi adsense ke liye apply kare, aage padhe step…
Step :
- Agar aapne blog blogger ya wordpress me banaya hai to usme Domain name jarur lagaye ( dot com, dot in, dot org ) jo bhi thik lage, kyoki domen lagane ke bad adsense approve hone ke jyada chance rahte hai.
- Blog me minimum 50 post above hi post likhe, aur aapka har post me 1000 – 2000 word ka ho, taki adsense ke pas insufficient content kahne ka bahana bahut hota hai, isiliye post me jyada jyada sabdo ka use kijiye.
- Aapka koi bhi post ya post me upload kiye jane wali image copyright na ho. kyoki adsense aapke blog ko blacklist me dal sakta hai, aisa hone par aapka blog kabhi bhi adsense ke liye approve nahi ho payega.
- Blog me Important page jarur add kare, hamare blogger friends privacy policy, contact us, about us, terms and conditions, disclaimer, in ko important page kahte hai. aur in page ke bina adsense approve hona imposible hai, isiliye ye page jarur add kare.
- Dhyan rahe blog par koi adult post ya image na lagaye, kyoki adsense ko ye sab pasand nahi. jisse aap ka adsense account disapproved ho sakta hai. isiliye dhyan rakhe,
Step 1 :
- Adsense ke liye apply karne se pahle blog par lagaye huye other ad network services ke ad hata le, kyoki adsense ko dusre ad network service ke ads ke sath apne ad dikhana manjur nahi, wo sidha blog ko disapprove kar deta hai.
- Agar aapke blog me broken/dead link hai to use nikal de uske bad hi adsense account ke liye apply kare.
- Agar aapka blog puri tarah tayaar ho gaya ho to Google console search me blog ko add kare aur sitemap jarur banaye. isase adsense account ko approval ke jyada chance hote hai.
- Blog ko sabhi social sites par share karne na bhule usase blog par traffic aati hai, aur jis blog par jyada traffic hoti hai use adsense jald hi approval de deta hai.
Agar aapka blog upar diye gaye sabhi step follow karta hai to aapke blog ko Adsense se approval milne se koi nahi rok sakta. isiliye sabhi steps dhyan se follow kare. aur apna adsense account approve kare.
Aage padhe :
Kaise apply kare adsense account ke liye?
- Sabse pahle adsense.com site par jaye.
- Sign Up Now par click kare.
- Ab ek new windows khulegi.
- Agar aap gmail account me pahle se log in hai aur usi account se adsense account banana chahte ho to Yes, proceed to google account sign in par click kare.
- Agar aap kisi dusre ya new gmail account se adsense banana chahte ho to No, create new google account par click kare.
- Ab ek new window khulegi usme my website box me apni blog ka url dale. aur content language box me blog ki language select kare.
- Fir continue pe click kare.
- Continue par click karte hi aapke samne adsense account ke ek information window khulegi. jisme aapke address ke bare me pucha jayega. isme aap ko sabhi jankari sahi sahi bharni hai kyuki aapke bataye address par ek post se letter aata usme aapke address ke verify ke code honge jo aapko adsense account me dal kar apna pata verify karna hai. address verify hone ke bad hi aapko adsense ka payment milta hai..
complete process
Ab aapke adsense account ki process complete ho gayi hai, ab bas adsense account approved hona baki hai . jab aapka adsense account approve ho jayega to aapki gmail id par ek msg aa jayega. isme 2-7 din bhi lag sakte hai. Agar aapka adesce account approve ho gaya to aapki income suru ho gai samzo.
Muze puri umeed hai dosto aap ko meri ye post samzane me koi dikkat nahi hogi, agar fir bhi adsense ke bare me koi sawal hai to aap hame comment ke dware aapki problems bataiye, ham aapki problems solve karne me aap ki puri help karenge.
Thanks For —————————————————— Reading Post
Read More Articles :
- Paypal क्या है
- जानिए क्या है Paytm
- Adsense अकाउंट कैसे बनाए
- ब्लॉग बनाकर करे कमाई
- Blog के लिए साईट मैप कैसे बनाए
- ब्लॉग से कमाई करने के 5 तरीके
- पोस्ट टाइटल को सबसे पहिले कैसे दिखाए
- ब्लॉगर ब्लॉग में पोस्ट कैसे लिखे
- ब्लॉगर ब्लॉग में पापुलर पोस्ट कैसे ऐड करे
- ऑनलाइन के जरिए पैसे कैसे कमाए
- वोटर ID कार्ड डाऊनलोड कैसे करे
- वोटर ID कार्ड की गलती कैसे सुधारे
- ऑनलाइन वोटर ID कार्ड कैसे बनाए
- पैन कार्ड की गलती कैसे सुधारे
- आधार कार्ड से पैन कार्ड कैसे जोड़े
- पैन कार्ड से जुड़े सवालो के जवाब
- एक दिन में पैन कार्ड कैसे बनाए
- रेल्वे ग्रुप D आंसर की
- भारत में रास्ट्रीय बैंक अवकाश
- ब्लॉग से पैसे कैसे कमाए
- अमावस्या का महत्व
- पोर्णिमा का रहस्य
- चाँद पर दाग कैसे लगा
- सूर्य भगवान और 7 घोड़ो का रहस्य
- साइबर क्राइम वकील कैसे बने
- पथोलोजिस्ट में करियर कैसे बनाए
- होम नर्सिंग में भविष्य कैसे बनाए
- गाय के दुध का महत्व