पेपाल डिपो से जुड़ा है या नहीं कैसे पता करें?, (How to know if PayPal is connected to depot), कैसे पता करें कि मेरा paypal खाता क्या है?, (How to know what my paypal account is), पेपाल के बारे में जाने, (Know about paypal), मुझे कैसे पता चलेगा कि मेरा पेपाल खाता क्या है?, (do I know what my PayPal account is), पेपाल के लिए जानते हैं, (Know for paypal),
Namaskar Dosto is site par aapka swagat hai, ham aaj is post me paypal ke bare janenge. Bahut sare internet user paypal ke bare me nahi janate hai yah post unke liye bahut hi helpful sabit hogi. Ham is post me janenge ki paypal kya hai, is par account banane se kya fayda hoga, is par account banana kyo hai jaruri, aur is par account kaise banate hai. iski jankari puri vistar ke sath janenge.
Kya hai paypal ?
Paypal ek online bank hank hai, jise international level par use kiya jata hai, videsh ki company yo se payment lene ke liye sabse jyada isi service ka use kiya jata hai. paypal ki tarah our bhi kahi online payment services hai lekin sabse jyada paypal ka hi use hota hai, is service se videshi company yo se payment lene ke liye ya fir kahi payment bhejne ke liye bhi iska use kiya jata hai. agar koi videshi chij apne kharedi karni hai to is service ke madhyam se kharedi kar sakte hai.
Agar ham blogger hai to hame iske bare me jankari jarur honi chahiye, blogging ka payment bhi paypal ke jariye ham apne bank account me le sakte hai. is service me money Send – Receive ke bhi options hai, bahut achhi service aur hacker protected service hai. Ab to jan hi gaye honge ki Kya hai Paypal.
Paypal se account banane ke liye kya jaruri hai ?
Dosto jaise ki ham bank me account open karne jate hai to bank hame kuch document mangti hai, usi tarah paypal me account open karne ke liye kuch document jaruri haote hai, iske liye aapko pan card, bank account or ek international debit card ya credit card ki jarurat padegi. agar aapke pas ye 3 cheez hai to aap abhi 5 minit me paypal account bana sakte ho.aur is payment service ka labh utha sakte ho.
Paypal me account banana kyo hai jaruri ?
- Agar ham kisi videshi company ke online work kar rahe hai to apne pas paypal ka account hona bahut jaruri hai , taki ham payment le sake, bcz wo company ya direct bank account me payment nahi karti hai.
- Ham blogger hai, hamare pas koi blog ya website hai to uske liye bhi hamare pas paypal ka account ho bahut jaruri hai, taki ham payment le sake, bcz kuch kuch company ya direct bank account me payment nahi karti hai.
- Agar hame koi international shopping karni hai to hamare pas paypal account hona jaruri hai, kyoki sabhi viza card international transaction nahi kar pate.
- Agar hame kisi videshi friends ko paisa bhejna hai ya fir Receive karna hai to hamare pas paypal account hona jaruri hai, kyoki isase better tarika muze bhi malum nahi hai.
Ab aapne paypal ke bare me bahut padh liya hai aapko paypal kya hai, ispar account banana kyo jaruri hai ye bhi jan gaye honge, ab ham jante hai ki paypal par account kaise banaye aage padhe…
Paypal par account kaise banaye ?
- Sabse pahle www.paypal.com par visit kare
- Fir Sign Up pe click kare.
- Fi Individual select kare.
- Fir Sign up form usme apni country, Email id, enter karke new password create kare.
- Fir captcha box me Captcha code enter karke Continue pe click kare.
- Ab ek new window khulegi usme sabhi jankari thik se bhare,
Jaise ki …
- Apna first name dale.
- Surname dale.
- Apna address dale.
- Apna city konsa hai wo likh de. exa- gondia.
- State konsa hai wo likh de. exa-maharashtra.
- Apne city ke zip code dale.
- Apne mobile number dal de.
- Agree policy par thik kare.
Agree and Create Account par click kare.
Ab aapka paypal account ban gaya hai. ab aapke pas ek email msg aaya hoga verify email usame verify email link pe click kare. bas ho gaya..
Dosto Agar aapka paypal ke bare me koi bhi sawal hai to kripya comment box me comment jarur kijiye, ham aapki puri sahayata karenge.
Thanks For ———————————————– Reading post
Read More Articles :